Awaara Hoon lyrics

 Awaara Hoon lyrics 


(Aawaara hoon, aawaara hoon
Ya gardish mein hoon aasmaan ka taara hoon) - 2
Aawaara hoon
Gharbaar nahin, sansaar nahin
Mujhse kisi ko pyaar nahin - 2
Us paar kisi se milne ka ikraar nahin
Mujhse kisi ko pyaar nahin - 2
Sunsaan nagar anjaan dagar ka pyaara hoon
Aawaara hoon, aawaara hoon
Ya gardish mein hoon aasmaan ka taara hoon
Aabaad nahin barbaad sahi
Gaata hoon khushi ke geet magar - 2
Zakhmon se bhara seena hai mera
Hansti hai magar yeh mast nazar
Duniya
Duniya mein tere teer ka ya taqdeer ka maara hoon
Aawaara hoon, aawaara hoon
Ya gardish mein hoon aasmaan ka taara hoon
Aawaara hoon, aawaara hoon, aawaara hoon

Comments

Popular posts from this blog

Is Kadar Pyar Hai Tumse ae Humsafar

Trust Issues lyrics

Aajkal Tere Mere Pyar Ke Charche